8 Jun

Girlfriend Shayari On Love

images (7)

Tumhein sari dunya se chupa kar apne pass rakhna chahti hun
Dunya ke nazaron se durr le jana chahti hun

Yeh mat samjhna mujhe tumse bewafai ka darr hai
Bas meri mohabbat mein kabhi kisi kami ka dar hai

Tumhein chura le koi mujhse yeh darr laga rehta hai
Mujhse meri zindagi koi le le yeh darr laga rehta hai

Tumhein apni dhadkan se bhi kareeb rakhna chahti hun
Lamha Lamha zindagi ka tumhare saath jeena chahti hun